Maiday Ki Tezabiat , Jalan , Gas , Qabz Aur Tabkheer Ka Elaj

Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer Ka Elaj


Jab hamare pait mein takleef mehsoos hoti hai aur hum ise  Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz  Aur Tabkheer  ya badhazmi ka naam de dete hain. Pait ki shikayat Nazle, zukam se ziyada aam hain.

[caption id="attachment_1594" align="alignnone" width="1080"]HAKEEMIMRAN.COM- Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer Ka Elaj HAKEEMIMRAN.COM- Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer Ka Elaj[/caption]

hakeem imran kamboh
  مردانہ کمزوری کے علاج کا مکمل کورس تفصیل کے لیئے یہاں کلک کریں


Wo hamari roz marra zindagi par asar dalti hain. Hamari bohat si vacations inhe ki nazar ho jati hain. Hazma ki kharabi ki wajah se baaz faash ghaltiyan kar bethte hain. Talbaa imtehan mein shareek hone se reh jate hain. Artist waqt muqarrara par itna kirdar adaa karne se qasir rehte hain. Business man apni nakamiyon ko badhazmi par he mehmool karte hain. Mu’aalijon ko aiteraaf hai ke unhe is ki badualat kafi aamdani hoti hai.

Andaza lagaya gaya hai ke American log har saal aik crore dollar se ziyada raqam aesi medicines ki khareed par surf karte hain jo pait ki takaleef mein taskeen deti hain. In medicines ka maqsad badhazmi, aphara, seeney ki jalan, adam ishteha, reyahi dard, chakkar, sar dard, pait ki garhgarhahat, qabz aur vomit waghera se nijaat dilana hota hai.


Dawa farosh awaam ki takleef se faiyda uthate hue tarha tarha ki medicines farokht karte hain aur ishteha bazi karte hain. Wo pait ki mamooli takaleef ko tarha tarha ke naam dete hain. Dil ki Jalan, Pait ka Bigharna, Bad hazmi, bad mizaji, Susti ki jarh waghera. Algharz badhazmi har shakhs nae rang mein pesh karta hai.


Newyork ke aik aise he mumtaz Doctor A Marx ne nizam e hazam ko mukhtasaran yun beyan kiya hai ke jo kuch hum khate hain, us mein Loaab e dehan shamil hota rehta hai. Isi liye ghiza ko slow slow chew kar ke khana zaroori hai. Hamare halaq se guzar kar yeh ghiza meyde mein pohanchti hai aur phir intestines kea mal se juzoo badan ban jati hai. Fuzla intestines ke aakhri sirey se kharij ho jata hai.


Baat to simple si hai lekin kabhi is amal mein rukawat bhi parh jati hai. Doctor Marx ke baqol humen yaad rakhna chahiye ke hamare pait mein taqriban 25 ft lambi musalsal aant hoti hai. Jo kuch hum khate hain wo us aant mein se guzarta hai. Is ke bakheriyat guzar jane ka inehsar bohat kuch hamari tabiyat aur is amar par hota hai ke hum kiya khate hain. Tandurusti ke liye aanton ka sahi feyl nihayat zaroori hai.


Sawal peyda hota hai ke hamare nizaam e hazam mein kis wajah se kharabi peyda hoti hai ??? waqeyaat shahid hain ke agar intestines ki saakht ke mutabiq ghiza istemal ki jae to takleef ka khadsha rehta hai. Doctor Marx is baat par bohat zor dete hain.


1907 mein Y.M.C.A ke physical director W J Chrome ne apni aik kitab mein Gymnastic ke zariye bad hazmi ka ilaaj karne ki tarkeeb likhi thi. Chrome ne bad hazmi ki tareef yun ki hai. “Ghiza ki guzargaah ki kharabi…” unho ne likha hai “Nizam e hazam ko aik tarha ke aesaabi nizaam se madad milti hai. Chalne phirne se hamare pait ki ghiza idher udhar harkat karti rehti hai…”


Teeth’s kea mal ke mutalliq Chrome ne likha hai “Agar ghiza ko achi tarha chalaya jae to wo goya Nisf hazam ho gai. Agar meyde mein teeth hote to bohat se logon ko un se madad milti lekin ittefaq se aisa nahi hua.”


Vomit, seeney ki jalan, pait ke balaai hisse mein dard, acidity, bhara bhara pait, pait pholna, in majmoaa alamaat ko aam taur par bad hazmi ka naam diya jata hai. Yeh majmoaa alamaat ghiza ke khane ke dauran yak ha lene ke kuch dair bad peyda hota hai.



Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer ke Asbaab




Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer Badhazmi ke aam asbaab yeh hain.

1. Ziyada khana ya jaldi mein ghiza khana.

2. Intestines ke nuqs ki wajah se pori tarha ghiza ko chaba kar na khana.

3. Gham ya gusse ke jazbaat ke waqt ghiza khana.

4. Dimaghi masrofiyaat aur taraddud ke waqt khana khana.

5. Kasrat Tobacco noshi.

6. Qabz.( Constipation)

7. Ghiza ko pori tarha se na pakana.

8. Ghiza mein roghan ki ziyadti.

9. Baaz khusoosi ghizaeyn jaise Kakrhi, Moli, Bengan, Gobhi waghera khana.

Maiday Ki Tezabiat,Jalan,Gas,Qabz Aur Tabkheer Ka Ilaaj :


1. Patients ke liye mutawazin ghiza khana lazmi hai. Har mareez ko is ke mizaaj ke mutabiq ghiza ka intekhab karna chahiye.

2. Ghiza khob chaba kar khani chahiye aur kabhi bhi jaldi mein thonsni nahi chahiye.

3. Khate waqt mizaj khush, mahaul khamosh, dil khushkun aur dilchasp hona chahiye.
4. ghiza khane ke forum baad Tobacco noshi hargiz na ki jae.

5. Ghiza ko khob pakaya jae, ghiza marghob aur bhook lagne wali honi chahiye aur aitedaal ke sath khani chahiye, yani na kam na ziyada.

6. Ghiza khane ke bad tabiyat ko ghabrahat aur heyjaan se door rakha jae.



0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.