Nazla Zukam Ka Desi Elaj

Nazla Zukam Ka Desi Elaj


Hamary country main aam waba sardi lagna hy.yahan main app ko  Nazla Zukam Ka Desi Elaj  btata hoon. Nazla Zukam Ka Desi Elaj  in urdu.

hakeemimran.com- Nazla Zukam Ka Desi Elaj

hakeem imran kamboh
  مردانہ کمزوری کا شاہی شادی کورس تفصیل کے لیئے یہاں کلک کریں


Ajwain desi  ....... 1/2 tola
Daar cheeni ........ 1 tola
Sonth            ......... 1 tola
Dana barri alaichi  ..... 7 gram
sab ajzaa ko bareek pees kar sufoof bana len aur mehfooz karlen .
rozana aadha gram sufoof podina ke qehwa ke sath ya taaza pani ke sath subuh shaam istemaal karen.
har qisam ke nazla, zukam, dust allergy, cheenkain aana aur keera ko jarr se khatam karta hai ,
dawai tab tak jari rakhen jab tak aaraam nah aajay.

Nazla Zukam Ka Desi Elaj Ginger (Adrak se Ilaj)


Adrak ko rawaiti chini tarika ilaj mein thand ke sath bukhar sar dard aur pathon ke dard mein kasrat se istemaal kia jata hai aur ibtedayi dor ke Europi jari bootiyon ke mahir bhi ise nazlah zukam ka shafi ilaj tasleem


karte the. Adrak mein yeh khoobi hai keh yeh jism ke mudafati nizam ko taqtwar banati hai. Iski garam, dafa sozish aur tawanayi bahal karne wali khasoosyat ise nazlah zukam ki qeemti dawa ka darjah deti hain. Is ka tikha zaiqa doran e khoon ko tez karta hai. Jism se fasid madon ko kharij karta hai, band naak kholta hai aur lungs mein jama shudah balgham ko nikalta hai.



Nazla Zukam Ka Desi Elaj


Adrak aur lemon ko mila kar aik khush zaiqah sharbat bhi tiyar kia ja skta hai. Is mqsad ke liye adrak ke 115 gm wazni gukre ko dho kar achi tarah kutar lein aur ise 600 ml pani se bhare bartan mein daal dein. Yeh bartan aluminum ka na ho , is ke baad aik lemon ko kaddu kash karein aur chilke samet guda bartan mein shamil kar dein albattah lemon ke beej nikal lein is mien aik chutki bhar surkh pisi mich milayein aur pani ko dhimi aanch par 20 minute tak kholne dein. Is doran baqi bache huye lemon ko aik cup mein nichorein. Jab adrak ka aameza pak kar tiyar ho jaye to ise chulhe se utar lein aur thori der thanda hone dein. Iske baad ise aik cup mein nikalein. Is mein lemon ka ras shamil karein aur zaiqe ke liye shehad bhi mila dein. Is neem garam khush zaiqah aameze ko din mein kayi bar bil khasoos raat ko sone se pehle istemaal karne se nazlah zukam mein kafi aaram milta hai.



Nazla Zukam Ka Desi Elaj Bhaap Lena


Khoob garam pani mein makhsoos khushboodar tel.( essential oil) ke chand qatre shamil kar ke agar is bhap ko sans ke raste andar khencha jaye to is se sans ki nalyon mein garmi puhanchti hai aur vo martoob ho jati hain. Tel mile huye bhap se band naak kabhi khul jati hai aur balgham paida karne wali jhilliyan dhili ho kar balgham ko bahir kharij kar deti hain. Khushboodar bhap se ziada faida uthane ke liye behtar hoga keh pani ko ziada se ziada garam kia jaye aur garam bhap kehinchi jaye tahum bhap itni garam na ho keh is se nathne jalne lagein ya halaq mein kharash par jaye. Kholte huye pani mein amooman uclipts aur ka tea tree se kasheed karda tel shamil kiye jate hain jo bazaar mein aam dasteyaab hain . Yeh donon tel jaraseem virus aur fungus ke khatme mein ahum kirdar ada karte hain. Bhap lene ke liye pehle aik ketli mein pani boil karein aur phir aik khule chore munh wale bartan mein tqreeban dhayi cup kholta pani undelein iske baad kajoo pat tel ke 3 qtre is mein tapkayein. Phir apne head aur shoulder ko aik towel se dhanp kar kheme ki shakal de kar bhap ko andar kheinchein. Jon jon tel pani mein hal ho kar bhap ke sath upper uthe aap jetni gehri sans leskte hain lein is tarah tel apna asar dekahye ga. Band naak khul jaye gi. Sans ki nalyon mein mojood jaraseem aur virus ka khatmah hoga aur nazlah zukam ki doosri alamtein door ho jayein gi. Kajoo pat aur uclipts ke tel dsteyaab na hon to rosemary aur pudina ka tel se bhi isi tarah ke fawaid hasil kiye ja skte hain.

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.