Ala e Tanasul (penis) Kay Size Problem ka Elaj
Jis tarah saarey mard qadd kay lehaz sey baraber nahin yani unn kay qadd mein farq aur ikhtilaf hai, isi tarah unn kay zakar ka size ek jaisa nahin. Kisi ka zakar bara aur kisi ka chota. Zakar ki lambaee ka fard kay qadd kaath kay sath koi ta'alluq nahin. Iss silsiley mein Americamein ek survey hua to ma'aloom hua kay sab sey lamba zakar uss fard ka tha jis ka qadd ausat (average) sey kam tha. Mera ek client jiska qadd 6 feet sey zyada tha, kay zakar ka size aam logon sey kam tha.
[caption id="attachment_2585" align="alignnone" width="1094"] Ala e Tanasul (penis) Kay Size Problem ka Elaj 4[/caption]
Mardon mein zakar kay hawaley sey bohut sey khadshaat aur ghalat fehmiyan paee jati hain. Aksar mard apney zakar ki shakal, size, saakht aur motaee kay hawaley sey bohut hassas (concious) hain. Sab sey pehley lambaee ko letey hain.
Bohut sey naujawanon ka khayal hota hai kay unn ka zakar lambaee mein chota hai jis ki wajah sey woh shaadi kay qabil nahin hotey. Aksar naujawanon ko apney zakar kay hawaley sey sirf ghalat fehmi hoti hai kay woh chota hai hala'n kay woh chota nahin hota. Iss ghalat fehmi ki kaee wajoohaat hain.
Sir its really work this oil..me form qatar
ReplyDeleteThis oil realy work..about size
ReplyDeleteHello there, You have done a fantastic job. I will definitely digg it and
ReplyDeletepersonally recommend to my friends. I am sure they will be benefited from this website.